Tuesday, February 2, 2010

Gumnaam

Aao ek naam rakhein.

Thandi raaton mein mere badan ki hararat mein simte hue

Tumne ye khayal jo bola

Mera tasavvur mera zehen dono is safar pe chal pade

Kahan abhi to ek ehsaas ki takhleeq hi hui thi

Ek khwab ne neendon mein angrai leni shuru hi ki thi

Aur tum mujhe jaga rahi ho

Bevajah udte armaano ko

Hawa mein ek manzil dikha rahi ho

Tumhari aankhon mein dekha

To in bandishon mein rehne ki himmat aane lagi

Tere labon ko chuma

Thahar gayi ye lad.khadati zaban

Harf-harf jodkar

Naam koi jo ho umda

Vo ek alfaaz banane lagi

Mere zabin pe padi shikan dekh.kar

Tum khilkhilane lagin

Bahon mein apni sametkar mujhko

Shareer chamakti nigahon se chhedte hue

Hansti awaaz mein tumne kaha

Aao, is rashte ka naam hum ‘gumnaam’ rakhein..

No comments: