Saturday, April 4, 2009

Ghazal

 

Thoda ahista chalo ki saamne aaina milega.

Koi tumhare jaisa tumhe pyar karta milega..

 

Ho jaaye kabhi jo dil fanaa to kya baat hai.

Yun hi kabhi tootna to iska dekhne milega..

 

Aansun bhi bhar gaye hain daaman mein.

Jo chala gaya vo ab kya hi vapas milega..

 

Aur zamane ne bhi khoob laga liye kehkahe.

Unhe aisa tamasha ab dubara kahan milega..

 

Kuchh taaza khudaon ka pata chala hai.

Inme mera khuda jaane kahan milega..

1 comment:

Sophie Broflovski said...

Lol.. Whatever that was!