Tuesday, March 2, 2010

Guzarish

Ek alfaaz nahin to
               Ek harf hi likhne do.
Zindagi ki kitab mein,
               Kuchh to aur bharne do.

Waqt khatm sa hai main jaanta hun.

Faqat mere liye, ek pal,
               Ek lamhe ko dheere chalne do.

Yahan ki khushbu bator lun main
Nazaare nayaab aankhon mein bhar lun main.

Phir to ikhtitam hona hai
Aainda ek anjaam hona hai

Jaanta hun main ki sach kya hai
Faisle ki nazakat kya hai.

Phir bhi
Khaali pade safhon pe
                Syahi thodi to padne do.

No comments: